
..1. ๐ต๐๐๐๐๐ ๐ฒ๐ ๐ท๐๐๐๐ ๐ฐ๐๐๐
๐๐จ๐ฌ๐ ๐ง๐๐ข๐ง๐ ๐ฅ๐๐ ๐ ๐ฉ๐ข๐ฒ๐ ๐ฌ๐๐ฐ๐๐ซ๐,
๐๐๐ก๐ข ๐๐๐ฌ ๐ฆ๐๐ข๐ง ๐๐ ๐ฒ๐๐ก ๐ฃ๐ข๐ฒ๐ ๐ฌ๐๐ฐ๐๐ซ๐โฆ
๐๐๐ซ๐ ๐๐ข๐ง๐ ๐ค๐๐ข๐ฌ๐ ๐ฃ๐ข๐ฒ๐ ๐ฌ๐๐ฐ๐๐ซ๐โฆ
Karim
- Male Lead
- 21 years
Sufiya
- Female Lead
- 20 years
Arey jaa beta, zara bagal wali aunty se cheeni le aa. Abhi-abhi aaye hain woh log, Karim ki Ammi ne kitchen se awaaz lagayi.
Ammi yaar, main nahi jaa rahaโฆ
Karim ne thoda sa nakhre wale andaaz mein kaha.
Nai jaayega? Main bhi dekhti hoon kaise nahi jaayega! Jaa aur jaldi leke aa. Mujhe sheer khurma banana hai. Ek toh tere Abbu bahar ke saare kaam karte hain, par ghar ka ek kaam nahi karna inhe. Aur tu yahan khade-khade mera mooh kya dekh raha hai? Bhag yahan se.
Karim ne halki si muskaan ke saath haath utha diye.
โTheek hai Ammi, jaa raha hoonโฆโ
Wahi bagal ke ghar meinโฆ
Ammi mujhe Eid ke liye red kurta hi chahiye. Mujhe nahi pata aap yeh pink wala kyun laayi mere liye Maine hazaar baar bola hai, mere bina mere liye shopping mat kiya kijiye, Sufiya thodi si naraz si keh rahi thi.
Ab mujhe kuch nahi pata, please isse wapas karke red wala le aaiye, usne bachpana bhare gusse mein kaha.
Tabhi knock knock.
Sufiya ne thoda sa annoyed hote hue kaha, Yeh ab kaun aa gaya?
Darwaza khula.
โAssalamualaikum, Aunty,โ Karim ne tehzeeb se salaam kiya.
Wa Alaikum Assalam beta, boliye? Sufiya ki Ammi muskurate hue boli.
Wohโฆ Aunty thodi si cheeni mil sakti hai kya?
Ji zaroor, abhi laati hoon, unhone kaha aur kitchen ki taraf chali gayin.
Jaise hi woh hattiโฆ
Karim ki nazar us par padi.
Loose joggers, simple t-shirt, kandhe par halka sa shawl.
Brown aankhein.
Curly baal halka sa chehre par girte hue.
Sufiya ne bhi ek pal ke liye uski taraf dekhaโฆ phir nazar jhuka li.
Woh bas ek lamha tha.
Par us lamhe mein kuch tha.
Karim ne kabhi kisi ko aise mehsoos nahi kiya tha.
Bas ek seedha sa ghar ka darwazaโฆ
aur ek seedha sa ladka
jo us pal se wahan khada reh gaya tha.
Yeh lo beta, cheeni, Sufiya ki Ammi ki awaaz ne use hosh mein laaya.
Karim ne bowl liya. โShukriya Aunty.โ
Par uska dhyaan ab bhi kahin aur tha.
Usne ek baar phir dheere se us taraf dekhaโฆ
aur shayad usi din
uska dil pehli baar kisi ke liye dhadka tha.
Karim soraha tha. Eid ka mahaul tha, ghar mein meethi si khushboo reh gayi thi sheer khurma ki.
Tabhi darwaze par halki si dastak hui.
Assalamualaikum Auntyโฆ kya main andar aa sakti hoon?
Karim ki Ammi ne darwaza khola aur muskurate hue boli,
Wa Alaikum Assalam beta, arey aao na. Kya baat hai? Sab theek?
Sufiya halka sa dupatta sambhalte hue andar aayi.
Tabhi piche se neend bhari awaaz aayi
Yaar Ammiโฆ aaj mujhe biryani khaani haiโฆ
Karim aankhen aadhi band, baal bikhre hue, chehra poora neend se bhara huaโฆ seedha hall mein aa gaya.
Aur phirโฆ
Uski nazar Sufiya par padi.
Ek second.
Do second.
Uska dimaag blank.
Dil ne jaise ekdum se brake laga di.
Room ki light on reh gayi thiโฆ main basโฆ wohโฆ band karke aata hoon!
Aur bina kisi aur lafz ke, woh almost daudte hue wapas mud gaya.
Seedha apne kamre mein ghusa, darwaza band kiya, aur piche se lag kar khada ho gaya.
Ya Allahโฆ kya usne mujhe aise dekha? Baal dekhe usne? Yeh kya haal bana ke ghoom raha tha mainโฆ
Woh thoda sa irritate hoke khud se hi bolne laga.
โKarim, tumse na ho payegaโฆโ
Dusri taraf hall meinโฆ
Sufiya ne halki si muskaan chupane ki koshish ki.
Aunty, Ammi ne aap sab ko kal hamare yahan dawat ke liye bulaya hai, usne tehzeeb se kaha.
Arey wah beta, zaroor aayenge. Bohot shukriya, Karim ki Ammi ne pyaar se jawab diya.
Sufiya ne haan mein sir hilaayaโฆ
Par uske zehan mein bhi ek hi chehra tha
bikhre baalโฆ neend bhari aankheinโฆ
aur woh awkward sa bhaagna.
Aur shayadโฆ
use woh scene thoda sa cute laga tha.
Agli shaamโฆ
Karim ne aaj extra time liya ready hone mein.
White kurta.
Thoda sa itr.
Baalo ko is baar properly set kiya.
Mirror ke saamne khade hoke khud se bola,
โAaj koi funny entry nahi honi chahiyeโฆโ
Bagal ke ghar pahunchte hi, mehfil ka mahaul tha.
Lights, mithai ki khushboo, logon ki halki si hansi.
โAssalamualaikum,โ Karim ne andar aate hue kaha.
โWa Alaikum Assalam,โ sabki awaaz ek saath aayi.
Aur phirโฆ
Woh seedhiyon se neeche utarti hui nazar aayi.
Red kurta.
Simple jhumke.
Curly baal aaj halka sa bandhe hue.
Aankhon mein wohi brown gehraai.
Karim ne literally saans andar kheench kar rok li.
โRed hi chahiye thaโฆโ usse achanak kal wali baat yaad aayi.
Sufiya ne neeche aate hi halka sa salaam kiya,
โAssalamualaikum.โ
Karim ne thoda composed rehne ki koshish ki,
โWa Alaikum Assalam.โ
Unki nazrein phir mili.
Is baar zyada der ke liye.
Na koi zyada baat.
Na koi unnecessary smile.
Bas ek silent understanding jaise dono ko yaad tha
kal ka awkward moment.
Dinner ke dauraan, Karim thoda door baitha tha.
Par uski nazar baar-baar us taraf chali jaati.
Ek baar jab dono ki nazar phir takraayiโฆ
Sufiya ne halki si muskaan di.
Bas itna hi.
Aur Karim ke liye woh muskaan
poori dawat se zyada mehngi thi.
Us raat jab woh ghar wapas aaya
toh
biryani se zyada usse ek cheez yaad reh gayi
Red kurta.
Aur woh halki si muskaan.
Aur shayadโฆ
yeh sirf pehli nazar ka ishq nahi tha.
Yeh shuruaat thi. โค๏ธ


Write a comment ...